Thursday, June 14, 2012

Ummeed e Bahar


bahar aai aur aa kay chali bhi gai
yeh kesi rut thi kay phool khilay bhi nahin
udaas  chehron pay ik tabassum ki kali khil na saki
gham say nidhaal shikista badan be jaan hi rahay
rooh taaza hawa ko sisakti rahi
yeh kaisi bahar thi jo aa kay chali bhi gai
kiya mosam e khof hota hai itna hi taweel
kya is mosam main jaanain ho jati hain salb
kiya pazzmurdgi ki mot hoti nahin kabhi
kiya ghunche ho ja t e hain khab o khayal
woh jo maseeha key muntazir thay ab faryaad kartai hain
hamain mazi ki  fazaun main rehnay do
jisay tum bahar kehtay ho yeh fasl e khardar hai
khizan ka mosam hi sahi jahan ummed e bahar to hai