Sunday, February 18, 2007

Janay do

dil ka har bojh utar janay do
na roko ashk beh janay do

teri zindagi say jo chala gaya
aay jo uski yaad to aanay do

phir kabhi, kabhi na ai ga
hamain hal e dil sunanay do

main khud bhi so hi jaun ga
pehlay khabon ko sulanay do

bat hai tai dar nahin kholna
phir kiyun isay khatkhatanay do

zindagi bhar ka hai saath lekin
main aur dunya goya anjanay do

No comments: